knowledgetake.com

Ahmedabad plane crash live updates

June 13, 2025 | by kumarmanish83456@gmail.com

AAJ Gujarat ke Ahmedabad mein hue bhayanak plane crash ke baad, Prime Minister Narendra Modi ne Friday ko crash site ka दौरा kiya aur situation ka जायज़ा liya. PM Modi ne Ahmedabad ke civil hospital me जाकर ghayalon se bhi mulaqat ki.

Uske baad unhone ek review meeting bhi ki jisme top officials maujood the. India ne Thursday ke Air India plane crash ke baad ek official investigation shuru kar diya hai. Yeh hadsa recent times ka ek sabse bada air tragedy maana ja raha hai

International Teams ka Support

  • American aur British investigation teams bhi ab is investigation mein Indian authorities ko support kar rahi hain.
  • US National Transportation Safety Board (NTSB) ne announce kiya ki unke investigators India bheje ja rahe hain.
  • British PM Keir Starmer ne bhi confirm kiya ki UK ki ek team Gujarat bheji gayi hai.

Kam se kam 260 logon ki maut ho chuki hai.

Yeh crash Ahmedabad se London Gatwick ja rahe Air India ke Boeing 787-8 Dreamliner ka tha.

Plane ne take off ke sirf 33 seconds baad crash kar diya — ek medical college hostel se takra gaya.

230 passengers aur 12 crew me se sirf 1 survivor mila hai.

Crash ke samay hostel me jo students the, unme se 50 se zyada ghayal hue h

Amit Shah ne kiya high-level meeting

Union Home Minister Amit Shah ne crash ke baad ek emergency meeting li jisme:

  • Rescue aur relief operations ki details li gayi
  • Officials ko zaroori instructions diye gaye
  • Meeting me CM Bhupendrabhai Patel, Union Ministers CR Patil, Ram Mohan Naidu, Muralidhar Mohol bhi shamil the

Shah ne kaha ki:

  • DNA sample collection
  • Identification of dead bodies
  • Aur unke parivaron tak shav pahuchane tak ki poori responsibility sarkar ki hogi.